Har item tayyar hone par uske saamne "Ready" dabayein. Jab order ke sab items Ready ho jayein to Cashier "Served" dabayega.
Kharch
Jo paisay drawer se diye woh yahan likhein. Likha hua kharch cashier badal nahi sakta, galti ho to Owner cancel karega.
Supplier Hisaab
Shaam ko supplier ka bill yahan likhein. System dikhata hai ke us din ki deliveries ke hisaab se bill kitna banna chahiye. Supplier ko paise diye to "Payment Di" mein likhein.
1. Supplier ka Bill
2. Payment Di
Drawer se diye hon to ye khud "Murghi / Chicken" kharch mein likh jata hai. Apni jeb ya bank se diye hon to tick hata dein.
Bills
Payments
Chicken Stock (Pieces)
Har murghay ke 8 pieces bante hain (2 chest, 2 wings, 2 thigh, 2 leg). Yahan chicken aane ka, kharab pieces ka aur badle mein aaye pieces ka hisaab hai.
1. Chicken Aaya
2. Kharab Piece (supplier ko wapis)
3. Badle Ka Piece Aaya
4. Raat ki Ginti (Chickens)
Raat ko jitni chickens bachi hain wo gin kar likhein. Aadhi chicken ho to 17.5 likhein. Ye alag report hai, is ka delivery ya bikri ke stock se koi taluq nahi.
Deliveries
Pieces ki Movement (taza)
Rider Hisaab
Rider jab din ka kaam khatam kare ya cash jama karwaye, yahan us ka hisaab karein. Cash wale (UNPAID) orders khud PAID ho jate hain, aur rider ke delivery charges kharch mein likhe jate hain. Hisaab pakka hone ke baad badla nahi ja sakta.
Aaj ke hisaab
Meri Deliveries
Jo order cashier ne aap ko diya wo yahan hai. Customer ko order dene ke baad "Pohncha Diya" dabayein. Agar deliver na ho sake to "Deliver Nahi Hua" dabayein aur wajah likhein.
Orders / Cancel
Yahan din ke saare orders hain. Galat order par "Cancel" dabayein aur wajah likhein. Cancel hua order sale, cash aur udhaar ke hisaab se nikal jata hai, lekin record mein rehta hai. Din Band ke baad us din ka order cancel nahi ho sakta.
Din Ka Hisaab / Closing
Din subah 5 baje badalta hai. Din ke bilkul aakhir mein, jab sab orders aur kharch likh liye hon, tab band karein. Band hone ke baad us din ki koi entry nahi ho sakti.
Pichle band dinon ka hisaab
Udhaar Hisaab
Backup / Data ki Copy
Din band karte waqt har raat ek dafa backup lein. File aap ke phone ke Downloads mein save hogi. Kisi ko WhatsApp ya public jagah par na bhejein, is mein hisaab hota hai.
Yeh poora data (orders, items, payments, menu) ek file mein rakhta hai. Isay sambhal kar rakhein. Wapas dalne ke liye mujhe dikhana hoga.
Yeh ek sheet hai jo Excel ya Google Sheets mein khul jati hai. Har item ki ek line, saath mein payment ka tareeqa.